feeling lonely,,,,

Dekha palat k usne ke hasrat use bhi thi ,,,

Hum jis par mit gaye the mohhabat use bhi thi,,,

Chup ho gaya tha dekh kar woh bhi idhar udhar,,,

Duniya se meri tarah shikayat use bhi thi,,,

Ye sochkar andhera gale se laga liya,,,

Raaton ko jaagne ki aadat use bhi thi,,,

Woh ro diya tha mujko pareshan dekh kar,,,

Us din halan k meri zaroorat use bhi thi,,,

Un pattharon k sath nibhani pari use,,,

Jinse faqat mujhe nhi nafrat use bhi thi.

Es aas par jeena parta hai,,,

Yahan pal pal jalna parta hai

Har rang mein dhalna parta hai

Har mod par thokar lagti hai

Har haal mein chalna parta hai

Har dil ko samjhne ki khatir

Bas khud se ladna parta hai

Kabhi khud ko khona parta hai

Kabhi chup k rona parta hai

Kabhi neend na aye phoolon pay

Kanton pay b sona parta hai

Kabhi mar k jeena parta hai

Kabhi jee k marna parta hai

Kabhi to khushiyan loat k ayen gi

Es aas par jeena parta haiā€¦!!